Urdu to English Proverbs
English to Urdu Proverbs
ضرب الامثال
اردو ضرب المثل
اصلاح کوئی جرم نہیں
Proverb in Roman Urdu
Islaah Koi Jurm Nahi
English Proverb
AMENDMENT IS NO SIN
اصلاح کوئی جرم نہیں
Islaah Koi Jurm Nahi
AMENDMENT IS NO SIN
آب زم زم نہانے سے کوئی مومن نہیں بن جاتا
Aabb Zam Zam Nahanay Se Koi Momin Nahi Ban Jata
AN APE’S AN APE THOUGH HE WEARS A GOOD RING
افلاس قبل از وقت بوڑھا بنا دیتا ہے
Iflaas Qabal Az Waqt Boorha Bana Deta Hai
AN EMPTY PURSE FILLS THE FACE WITH WRINKLES
گھڑیاں مُصیبت کی گُزرتی ہیں مہینوں میں
Ghariyaan Museebat Ki Guzarti Hain Mahino Mein
AN HOUR OF PAIN IS AS LONG AS A DAY OF PLEASURE
بڑھاپے میں کمزور جِسم جوانی کی نادانیوں کا خمیازہ ہے
Burhapay Mein Kamzor Jism Jawani Ki Nadanio Ka Khumyaza Hai
AN INTEMPERATE YOUTH BRINGS TO OLD AGE A WORN OUT BODY
مکّار کو مکاری سیکھنے کی ضرورت نہیں
Makkar Ko Makkari Seekhnay Ki Zaroorat Nahi
AN OLD FOX NEEDS NOT TO BE TAUGHT TRICKS
تولہ علاج سے ماشہ پرہیز بہتر ہے
Tola Ilaaj Se Mashah Parhaiz Behtar Hai
AN OUNCE OF PREVENTION IS BETTER THAN A POUND OF CURE
ناجائز وعدہ کو پورا نہ کرنا ہی مناسب ہے
Najaaiz Wada Ko Poora Nah Karna Hi Munasib Hai
AN UNLAWFUL OATH IS BETTER BROKE THAN KEPT
غُصہ امیر میں نفرت اور غریب میں حقارت کا باعث ہوتا ہے
Gussa Ameer Mein Nafrat Aur Ghareeb Mein Hiqarat Ka Baais Hota Hai
ANGER MAKES A RICH MAN HATED AND A POOR MAN SCORNED
ظاہری صورت پر مت جاوٴ
Zahiri Soorat Par Mat Jao
APPEARANCES ARE OFTEN DECEITFUL